Kaagaz pe likh nahi sakta dil ki daastan,
Dil ki baat hai, dil mein hi rehne do!
Jab socha ki kahunga kisiko haal-e-dil,
sochta hi reh gaya, aur manzar nikal gaya!
Friday, April 17, 2009
Afsana-e-gham
Kitna bhi karle Zafar, log sawaal karenge,
jab tu chala jayega to malaal karenge!
Kashti ko kinare le jaata hai samandar,
log manjhi ka hi istaqbal karenge!
Dil tera toot ke choor choor ho jayega,
to bhi tukde aur hazaar karenge!
Friday, March 20, 2009
Kuch lamhe dil ke...dil ko...dil se...
1. "Toofan aate hain taaki lehron ko pankh lag sake...ud sake woh...thodi durr tak hi sahi...."
2. "Deewarein nafrat ki girti hai banti hai....
seene mein kahin to har kisi ke insaniyat basti hai!"
3. "Tanhai mein jab dil ki awaaz suni maine,
Kahin khud ko durr sisakta paaya maine....."
4. "Kya har chehre mein ek aur chehra chupa hota hai,
Lagta hai sirf mujhko hi ya sach mein aisa hota hai?"

Saturday, February 28, 2009
Maanvta ka rishta
"Kya dhoondne ka asafal prayas nirantar laga hai karne ko?
Maanavta ka sambandh kya paripoorna nahi aeka pirone ko?"
"Har varsh hazaaron, laakhon dharm ki sooli chadte hain,
to bhi kyon krishn, ishu, allah ki raah log takte hain?"
"Bhai-bhai ke rakht ka pyaasa, isi tarah hua hai sadiyon se,
to kya mila humein is avannati ke pag pe aage badhne se?"
"Shanti aur prem ka sandesa har yug mein jinhone diya nirantar,
unhi ke aadarshon pe jeene wale, karte hain manushyon mein antar?"

Saturday, February 21, 2009
Kuch bhoole bichde alfazon ka taana baana......
Kuch bhoole bichde alfazon ka taana baana,
shiddate zindagi ka, hai kuch aisa fasana,
kabhi dhak jaati hai gam ki tanhaiyon mein,
to kabhi hai khushiyon ka kehkahana.
Chalte hain sab, magar rasta anjaan hai,
jante hain sab ki dhal jaani shaam hai,
phir bhi waqt ko rokne ki koshish karte hain,
pal do pal ki chahat mein kyon saikdon rehte hain?
Duriyan mitate reh jaate hain sabhi,
faaslon ke darmiyaan jaake sochte nahi kabhi,
ki zindagi ka yahi raha hai falsafa-e-raaz,
yaad phirse aate hain, wahi bhoole bichde alfaaz.

Subscribe to:
Posts (Atom)