Saturday, February 28, 2009

Maanvta ka rishta

"Kya dhoondne ka asafal prayas nirantar laga hai karne ko?
Maanavta ka sambandh kya paripoorna nahi aeka pirone ko?"

"Har varsh hazaaron, laakhon dharm ki sooli chadte hain,
to bhi kyon krishn, ishu, allah ki raah log takte hain?"

"Bhai-bhai ke rakht ka pyaasa, isi tarah hua hai sadiyon se,
to kya mila humein is avannati ke pag pe aage badhne se?"

"Shanti aur prem ka sandesa har yug mein jinhone diya nirantar,
unhi ke aadarshon pe jeene wale, karte hain manushyon mein antar?"

Saturday, February 21, 2009

Kuch bhoole bichde alfazon ka taana baana......

Kuch bhoole bichde alfazon ka taana baana,
shiddate zindagi ka, hai kuch aisa fasana,
kabhi dhak jaati hai gam ki tanhaiyon mein,
to kabhi hai khushiyon ka kehkahana.

Chalte hain sab, magar rasta anjaan hai,
jante hain sab ki dhal jaani shaam hai,
phir bhi waqt ko rokne ki koshish karte hain,
pal do pal ki chahat mein kyon saikdon rehte hain?

Duriyan mitate reh jaate hain sabhi,
faaslon ke darmiyaan jaake sochte nahi kabhi,
ki zindagi ka yahi raha hai falsafa-e-raaz,
yaad phirse aate hain, wahi bhoole bichde alfaaz.