Kaash aisa hota ki mujhe milta sab chahne par,
Taaron bhari woh raat aur woh neela ambar.
Na hota dukh dard aur na hi hoti pareshaani,
Tab duniya lagti kitni haseen, kitni suhaani.
Udd paata hawa mein, jaata chaand ke paar,
Hamesha hi jeeta karta, kabhi na hoti meri haar.
Sabko banata dost, dushman na kisi ko banata,
Jo bhi mujhe yaad karta, jhat se pohunch jaata.
Par kya kabhi aisa hoga, jab milega sab chahne par,
Dil ke armaan to bante hain, har pal, har manzar.
-- Subeer.
1 comment:
Too good, really nice one.
Post a Comment